madad ai khayal-e-mazi zara aaina uthana main badal gaya hun khud hi ki badal gaya zamana mere khaliq-e-gulistan ye saman na phir dikhana ki khud apni raushni mein nazar aae aashiyana ye hai jiddat-e-takhayyul to bhala kahan thikana milen bijliyon ke tinke to banaun aashiyana ye qafas qafas na rahta nazar aata aashiyana mere baal-o-par se pahle mere dil ka tut jaana ye na puchh phul barse ki giri dilon pe bijli zara dekh aaine mein kabhi apna muskurana mera ek ek aansu gham-e-fikr-e-do-jahan hai kabhi khushk karna daman kabhi aastin sukhana rag-o-pai mein barq daude yahi lutf-e-zindagi hai mere muskurane wale yunhi muskurae jaana mere sham-e-gham ki zinat mere aansuon ke taro tumhein kaam kya sahar se kahin tum na dub jaana kahun kya 'siraj' tum se jo guzar rahi hai dil par ye qafas ki zindagi aur ye bahaar ka zamana