mujhe masumiyat se dekhta hai

mujhe masumiyat se dekhta hai
wo dhoka khae hai ya de raha hai

main kitna ajnabi hun apni khatir
mujhe har aadmi pahchanta hai

ajab hai teri yak-rangi ki pyare
jahan tak dekhta hun aaina hai

hamari bhuk se bhuki hai duniya
hamari pyas se sahra bana hai

nikal bhi lo ki is basti mein aksar
darichon se samundar jhankta hai

wo apne hath par mehndi racha kar
muqaddar ki lakiren dhundhta hai

tere honton ki nam golaiyon mein
na jaane kis ke dukh ka zaiqa hai

kahin 'pashi' kahin 'alwi' kahin 'ashk'
bas ek dukh hai magar kai tarah ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close