maddham suron ka dip sulagta hai raat mein

maddham suron ka dip sulagta hai raat mein
khushbu sa ek khayal mahakta hai raat mein

hairat-kade ke bich mein rahta hai raat mein
shayad wo meri aankh se takta hai raat mein

sochon mein rakh liya hai mujhe kis ki aankh ne
mere liye bhi koi pighalta hai raat mein

utra hai mere harf mein phir se koi khayal
mere qalam ki aabru rakhta hai raat mein

khushbu sa phail jata hai aanchal ke aas pas
ek wahime sa koi bikharta hai raat mein

puchha charagh-e-shab ne tera dil wo kya hua
main ne kaha ki kaun ye jalta hai raat main

kahne laga ki dasht ki wahshat kahan gai
main ne kaha ki kaun sarakta hai raat mein

bundon ki ragni mein koi dard hai chhupa
mausam ka iztirab chhalakta hai raat mein

ilzam to na dijiye 'nilam' ki aankh ko
saghar to apne aap bahakta hai raat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close