wade se mukar jaana dagha hai ki nahin hai

wa'de se mukar jaana dagha hai ki nahin hai
tum hi kaho kuchh is ki saza hai ki nahin hai

kya baat hai aa dhamke achanak sar-e-mahfil
andaz tumhaara ye baja hai ki nahin hai

dekha hai tumhein chumte aaine mein khud ko
duniya mein koi chiz haya hai ki nahin hai

kuchh sar-phire tufan uthate hain to is mein
hakim ki bhi khamosh raza hai ki nahin hai

ghairon ke gile-shikwe na apnon ke masail
tanhai mein jine ka maza hai ki nahin hai

sail ne sada dene mein hi der laga di
ab dekhiye kuchh ghar mein bacha hai ki nahin hai

sunta hun ki gardish mein hai diwanon ki fehrist
dekhun to mera nam likha hai ki nahin hai

phir 'nazr' parakh ghaur se yunus ka waqu’a
machhli ke shikam mein bhi khuda hai ki nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close