shab-e-wasl rutha hai dilbar kisi ka na yun ban ke bigde muqaddar kisi ka ghash aaya jo mujh ko to zalim ye bola na rakkhenge zanu pe hum sar kisi ka masahri pe phulon ki sota hai koi tadapta hai kanton pe muztar kisi ka gae wo to taqdir phuti kisi ki wo aae to chamka muqaddar kisi ka dam-e-qatl bhi munh phirae hue hai bada be-murawwat hai khanjar kisi ka wo dekha kiye le ke simab pahron jo yaad aa gaya qalb-e-muztar kisi ka saba ja ke chupke se kahna kisi se dil aaya hai ai shokh tujh par kisi ka pas-e-marg aaya jo turbat pe qasid to roya bahut nam le kar kisi ka shab-e-wasl mera kuchh israr karna badhana wo sharma ke zewar kisi ka na pamal kar is ko ghuncha samajh kar ye dil hai are o sitamgar kisi ka tadapta hai 'naushad' furqat mein har-dam juda ho kisi se na dilbar kisi ka