mahw-e-naghma mera qatil jo raha karta hai fann-e-mausiqi ko bhi zabh kiya karta hai ek wo zalim hi nahin mujh pe jafa karta hai aasman bhi isi chakkar mein raha karta hai barish-e-kaif-o-tarannum ka saman kya kahiye naghma jaise lab-e-mutrib se chua karta hai ab to har baat pe quran utha lete hain ab to iman sipar ban ke bika karta hai uth gaya mai-kade se shisha-o-saghar ka riwaj ab to chullu se har ek rind piya karta hai sath tasbih ke danon ke suna hai hum ne shaikh biryani ki boti bhi gina karta hai main jahan mein kisi aain ka paband nahin mere ghar aap hi qanun dhala karta hai kyun na waiz ke taqaddus ka asar ho dil par roz mai-khane mein tasbih padha karta hai jis ko samjhe hue the sidq-o-safa ka hami jhut ki rassi wahi roz bata karta hai azm-bil-jabr ke hathon jo hua ho raushan wo diya bhi kahin jhonkon se bujha karta hai allah allah ye mearaj-e-mohabbat ai 'shauq' husn ab ishq ka pani hi bhara karta hai