main khal-o-khad ka sarapa tasawwuraat mein tha damakti zat ka suraj andheri raat mein tha wo waqt ab bhi nigahon mein jagmagata hai ye kaenat thi mujh mein main kaenat mein tha main shahr shahr ki hairaniyon se guzra hun mera wajud bhi shayad ajaibaat mein tha ana ke dasht mein sadiyon ki dhul odhe hue na jaane kab se wo uljha tassubaat mein tha tamam shor-sharaba nafas nafas mein liye wo dubta hua ehsas shab-baraat mein tha ye subh-o-sham mulaqat hai ajiran si kabhi-kabhaar ka milna tabarrukat mein tha 'hayat' dhund raha hun wo lucknow ki jahan sharafaton ka asasa takallufat mein tha