mahdud kar nazar ko na tanha bahaar dekh gulshan ke sath sath dil-e-dagh-dar dekh himmat na haar gardish-e-lail-o-nahaar dekh kuchh aur din abhi sitam-e-rozgar dekh tuti ki tarah dekh na misl-e-hazar dekh insan ban ke naqsh-o-nigar-e-bahaar dekh ai na-shanas himmat-e-insan zara samajh dil ki bisat dekh gham-e-rozgar dekh mansur ki zaban se tu raaz-e-khudi suna meri jabin mein jalwa-e-husn-e-nigar dekh barbaad kar na zindagi-e-mustaar ko milni nahin ye chiz tujhe bar-bar dekh ai shahsawar-e-arsa-e-husn ek aur war hain aur bhi kalim sar-e-rahguzar dekh ai ham-nashin kudurat-e-jaanan nahin gai ye hai jawab-nama-e-bakht-e-ghubar dekh wo mai-kada khula wo mera muddaa mila wo aa raha hai jhum ke abr-e-bahaar dekh main to rahin-e-lazzat-e-azar ho chuka ab koi aur ai sitam-e-rozgar dekh dil mein mere judai-e-gulshan ke dagh hain laya hun apne sath qafas mein bahaar dekh kaisi bahaar-e-khuld kahan ka jamal-e-hur rang-e-bayan waiz-e-parhez-gar dekh main jaanta hun kis ki hain jalwa-numaiyan meri nazar se shaikh jahan-e-bahaar dekh aatish-kada tamam gulistan bana diya fasl-e-bahaar-rang nawa-e-hazar dekh daman mein baada-khwar ke waiz panah le mahshar mein sainkadon hain kahin ja ke yar dekh kya hum bhi hain kalim ki ghash kha ke gir paden han dekh to hamein nigah-e-shoala-bar dekh rahmat nisar hoti hai sadqe hai maghfirat qismat to apni ai nigah-e-sharmsar dekh kausar ka mai-kada hai to jannat ka gul-kada husn-e-mazaq 'shaghil'-e-parhez-gar dekh