na sune jab koi fariyaad to fariyaad na kar izzat-e-nafs badi chiz hai barbaad na kar shikwa-e-jaur-o-taghaful dil-e-nashad na kar wo tujhe bhul gaya tu bhi use yaad na kar dam nikalta hai nikal jae bala se bulbul aashiyane ke liye minnat-e-sayyaad na kar khinch kar munh se zaban tod ke donon bazu yun to sayyaad giraftar ko aazad na kar hum wafa-kesh wafadar rahenge lekin ai jafa-kosh jafa kar magar ijad na kar baghban kash kahe fasl-e-khizan se itna daulat-e-husn-e-khuda-dad ko barbaad na kar aap ke khauf hain be-laus hain jab banda-nawaz phir ye kyon kahte hain 'shaghil' se ki fariyaad na kar