majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila wo khak udata hai lekin nahin dil maila ghul-shor kahan ka hai sun to sahi o zalim kya hai tere kucha mein kaisa hai ye wawaila ab gardish-e-dauran ko le aate hain qabu mein hum daur chalate hain saqi se kaho mai la hum hain to na rakhenge itna tujhe afsurda chal naghma-e-'natiq' sun sahra-e-junun nai la