matlab na subh se na gharaz koi sham se apni to zindagi hai faqat daur-e-jam se waqif hai kaun ghuncha-o-gul ke maqam se sehn-e-chaman mein phaile hue hain jo dam se hoti nahin hai jin ko mayassar shab-e-nashat subh-e-bahaar ke liye rote hain sham se duniya samajh gai hai ki hai ye fareb-e-zist darne lage hain log mohabbat ke nam se tar-e-nafas ki lai pe hai aawaz-e-zindagi naghme baraste rahte hain saz-e-dawam se azm-e-samim le ke nikalta hun jab kabhi manzil dikhai deti hai do-chaar gam se hoti chali hai jab se tabiat junun-nawaz rahne laga hun dur khirad ke maqam se sada-dili nahin to ise aur kya kahen hum gham utha rahe hain masarrat ke nam se 'khushtar' milenge sab mere haalat-e-zindagi khud aap jaanch lijiye mere kalam se