mere ujDe chaman mein bhi kabhi ya-rab bahaar aae

mere ujde chaman mein bhi kabhi ya-rab bahaar aae
khizan har bar aai mausam-e-gul ek bar aae

chala hun maut aae rah mein ya ku-e-yar aae
kisi surat se dil ki be-qarari ko qarar aae

kadak bijli ki sunte hi lipat jate hain sine mein
garaj ai abr-e-baran aisa mauqa bar bar aae

nigahon mein teri jo kaif hai mai mein kahan saqi
agar tu dekh le duzdida nazron mein khumar aae

tasadduq dil ko kar dun jaan ko qurban kar dalun
magar us bad-guman ko kash mera eatibar aae

masiha ban ke mujh ko maut ne chhutkara dilwaya
phanse the aa ke daldal mein badi mushkil se par aae

gham-o-andoh se badh kar aziyyat is ki hai 'salik'
na koi monis-o-hamdam na koi gham-gusar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close