tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte kisi din us ke dar pe raqs-e-wahshat kyun nahin karte ilaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte tumhaare dil pe apna nam likkha hum ne dekha hai hamari chiz phir hum ko inayat kyun nahin karte meri dil ki tabahi ki shikayat par kaha us ne tum apne ghar ki chizon ki hifazat kyun nahin karte badan baitha hai kab se kasa-e-ummid ki surat so de kar wasl ki khairaat rukhsat kyun nahin karte qayamat dekhne ke shauq mein hum mar mite tum par qayamat karne walo ab qayamat kyun nahin karte main apne sath jazbon ki jamaat le ke aaya hun jab itne muqtadi hain to imamat kyun nahin karte tum apne honth aaine mein dekho aur phir socho ki hum sirf ek bose par qanaat kyun nahin karte bahut naraaz hai wo aur use hum se shikayat hai ki is naraazgi ki bhi shikayat kyun nahin karte kabhi allah-miyan puchhenge tab un ko bataenge kisi ko kyun bataen hum ibaadat kyun nahin karte murattab kar liya hai kulliyat-e-zakhm agar apna to phir 'ehsas-ji' is ki ishaat kyun nahin karte