mana ki irade tere khunkhar bahut hain is ahd ke fankar bhi khuddar bahut hain kyon meri taraf lutf-o-inayat ki nazar hai hasti ke shifa-khane mein bimar bahut hain tum jaoge bazar to dekhoge tamasha zakhmon ke gulabon ke kharidar bahut hain yun meri taraf sang-e-malamat na uchhaalo is dahr mein to sahib-e-kirdar bahut hain ab zulf-e-girah-gir ki baaten na karo tum hum khud hi gham-e-ishq se bezar bahut hain sincha hai jinhen de ke lahu apne jigar ka aise mere diwan mein ashaar bahut hain