mahshar-e-hijr tera surat-e-khas samne hai ek baras bit gaya ek baras samne hai surat-e-ishwa-e-khashak hai aawara wajud kya sambhal paega dariya-e-hawas samne hai harf-e-shart aata hai jab teri zaban par sar-e-sham aisa lagta hai ki ek aur qafas samne hai jaane kis waqt ye ud kar mere dil tak pahunche manzilen dur hain aazar-e-jaras samne hai is ka hona bhi na hone ki tarah hai 'afaq' is tarah hai wo mere samne bas samne hai