mahshar mein pas kyun dam-e-fariyaad aa gaya rahm us ne kab kiya tha ki ab yaad aa gaya uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz mein lo aap apne dam mein sayyaad aa gaya nakaamiyon mein tum ne jo tashbih mujh se di shirin ko dard-e-talkhi-e-farhad aa gaya hum chaaragar ko yun hi pahnaenge bediyan qabu mein apne gar wo pari-zad aa gaya dil ko qalaq hai tark-e-mohabbat ke baad bhi ab aasman ko shikwa-e-bedad aa gaya wo bad-guman hua jo kahin sher mein mere zikr-e-butan-e-khalkh-o-naushad aa gaya the be-gunah jurat-e-pa-bos thi zarur kya karte wahm-e-khajlat-e-jallad aa gaya jo ho chuka yaqin ki nahin taqat-e-visal dam mein hamare wo sitam-ijad aa gaya zikr-e-sharab-o-hur kalam-e-khuda mein dekh 'momin' main kya kahun mujhe kya yaad aa gaya