tark-e-talluqat nahin chahta tha main gham se tere najat nahin chahta tha main kab chahta tha teri inayat ki barishen shadabi-e-hayat nahin chahta tha mein mujh se tu ai bahisht-e-nazar yun nazar na pher kya tujh ko ta-hayat nahin chahta tha main main chahta tha tum se na jitun kabhi magar kha jaun khud se mat nahin chahta tha main guzri hai dil pe kaisi qayamat main kya kahun nafrat ki kaenat nahin chahta tha main kya haal ab hai tere taaqub mein ai hayat tu yun hi aae hat nahin chahta tha main main chahta tha rah mein kuchh mushkilen magar har har qadam pe ghat nahin chahta tha main 'raghib' wo meri fikr mein khud ko bhi bhul jaen aisi to koi baat nahin chahta tha main