wo shusta shusta gesu pakiza-tar nigahen

wo shusta shusta gesu pakiza-tar nigahen
sae mein mai-kade ke aabaad khan-qahen

pas-e-adab se kab tak nichi rahen nigahen
shaffaf aastinen jalwa-farash bahen

in ke liye nahin hain mauzun alam karahen
ye garm garm aansu ye sard sard aahen

guzre hain wo idhar se tasdiq ho rahi hai
gul hai na gulsitan hai mahki hui hain rahen

yaad aae hain sitam jab yaad aa gae karam bhi
mayus ho chale the phir mil gain panahen

khushbu-e-gul se mera dil baithne laga hai
kyun subh subh aaen phulon ke lab pe aahen

'mani' ki pak-bazi is daur mein na chalti
nigaran rahi hain dil ki har waqt wo nigahen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close