main nala-kash jo apne watan se nikal gaya

main nala-kash jo apne watan se nikal gaya
ek andalib tha ki chaman se nikal gaya

hoti nahin nabi ki bhi qadr apne shahr mein
allah ka habib watan se nikal gaya

tanhai bahr-e-ashiq-e-sadiq zarur hai
majnun isi liye to watan se nikal gaya

nafa se bahar aa ke hui qadr mushk ki
achchha raha jo apne watan se nikal gaya

misl-e-guhar hai aaj salatin pe us ki ja
jo ba-kamal apne watan se nikal gaya

yaad aaya sarw sa jo wo qad phul sa ezar
main be-qarar ho ke chaman se nikal gaya

jo sher hum ne wasf-e-qad-e-yar mein likha
har misra apna sarw-e-chaman se nikal gaya

us gul ko shauq phulon ke gahne ka jab hua
har gul usi hawa mein chaman se nikal gaya

'akbar' naqab aaj utha ru-e-yar se
shukr-e-khuda ki chand gahan se nikal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close