numud-e-subh par yun eatibar-e-sham aata hai ki jaise baad-e-fasl-e-gul khizan ka nam aata hai tabassum bhi hain aansu bhi hain un ki bazm mein lekin wahi hai kaamyab-e-ishq jo nakaam aata hai laga len kyon na un ke dard ko sham-e-alam dil se wahi hamdam hai apna waqt par jo kaam aata hai na qismat sath deti hai na dil hi sath deta hai kisi ke aastan se jab koi nakaam aata hai sunata hai kisi ko koi jab pur-dard afsana na jaane kyon mere lab par tumhaara nam aata hai kisi ki be-rukhi se tark-e-ulfat kar to dun lekin wafaon par meri 'anjum' bada ilzam aata hai