mutmain dil un ki ulfat se magar aankhen pur-ab aah diwane ki duniya aah diwane ka khwab mit chuka hota kabhi ka ye dil-e-na-kaamyab chhedta rahta hai aksar koi hasti ka rabab jam ban kar jhuk rahe hain aaftab-o-mahtab ye lutane aa gaya hai kaun aankhon se sharab tak rahe hain dubte tare dhadakte dil ke sath subh ka rangin saman hai aur wo hain mahw-e-khwab allah allah ye nigah-e-muntazir ka moajiza sau hijabon se hua jata hai koi be-hijab kaun malta hai nasim-e-subh mein ye siskiyan kaun aaj uttha hai un ki bazm se na-kaamyab koi tariki mein chupke se badha deta hai lau jab shab-e-gham bujhne lagta hai dil-e-na-kaamyab ai 'shifa' mere sawalon ne sitam ye kya kiya aah kin aankhon se un ko dekhta hun la-jawab