manzil hai kathin kam zad-e-safar malum nahin kya hona hai aur langda apahij hai rahbar malum nahin kya hona hai khaif na ho kyun har fard bashar malum nahin kya hona hai hai waqt ke hathon mein hunter malum nahin kya hona hai dekha hai ye aksar sham o sahar rah-rau to hai rah-rau khud rahbar har gam pe khate hain thokar malum nahin kya hona hai lafzon ka bayan dilkash dilkash duniya-e-amal suni suni schemen hain gatthar ka gatthar malum nahin kya hona hai aazadi ke phal rangin rangin khane mein bahut mithe mithe kide hain magar andar andar malum nahin kya hona hai garmi-e-mizaj-e-dost ka hum andaza karen to kaise karen bigda hua hai thermometer malum nahin kya hona hai hairan hun ki is gardun ke tale tanzim ki gadi kaise chale pahiye mein hazaron hain puncture malum nahin kya hona hai mali to hai kuchh rutha rutha aur ahl-e-chaman bigde bigde bijli ki nazar chhappar chhappar malum nahin kya hona hai gesu hain pareshan bulbul ke aur chaak gireban hain gul ke panic mein hai sabza sham o sahar malum nahin kya hona hai be-lazzat kaif-o-masti ke mallah bhi himmat haare hain khushki mein phansa hai ambassador malum nahin kya hona hai hai shaikh ki milkiyyat kaba miras-e-barahman but-khana chhae hue har-su hain joker malum nahin kya hona hai pheri hain ahibba ne aankhen badle hain aizza ne tewar hai 'shauq' har aaraazi banjar malum nahin kya hona hai