purkhon se jo mili hai wo daulat bhi le na jae zalim hawa-e-shahr hai izzat bhi le na jae wahshat to sang-o-khisht ki tartib le gai ab fikr ye hai dasht ki wusat bhi le na jae pichhe pada hai sab ke jo parchhaiyon ka pap hum se adawaton ki wo aadat bhi le na jae aangan ujad gaya hai to gham is ka ta-ba-kai mohtat rah ki ab ke wo ye chhat bhi le na jae barbaadiyan sametne ka us ko shauq hai lekin wo un ke nam pe barkat bhi le na jae aadil hai us ke adl par hum ko yaqin hai lekin wo zulm sahne ki himmat bhi le na jae un sohbaton ka zikr to zikr-e-fuzul hai dar hai ki lutf-e-shukr-o-shikayat bhi le na jae khud se bhi badh ke us pe bharosa na kijiye wo aaina hai dekhiye surat bhi le na jae