mai-kashi ka to maza jab hai bahaar aai ho

mai-kashi ka to maza jab hai bahaar aai ho
mauj-e-baada mere saqi teri angdai ho

gamzan jab ki udhar aap ka saudai ho
kis liye phir na bayaban mein bahaar aai ho

is tarah pahle mila tha na mujhe koi shakhs
jaise barson se meri us ki shanasai ho

us ke nazdik hai kya chiz tamasha-e-hilal
jis ki nazron mein nihan aap ki angdai ho

guftugu aap ki meri hai abhi ja-e-tamam
ghair-mumkin ki sar-e-hashr ye tanhai ho

sang-e-dar hi na rahe ya na rahe meri jabin
kuchh na kuchh hasil-e-dil zauq-e-jabin-sai ho

us ka eazaz koi ahl-e-nazar se puchhe
jis ne qadmon mein tere aa ke jagah pai ho

ek muddat se giraftar qafas mein ho 'ziya'
jaane kai bar gulistan mein bahaar aai ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close