main aa raha tha sitaron pe panw dharte hue badan utar diya khak se guzarte hue jamal mujh pe ye ek din mein to nahin aaya hazar aaine tute mere sanwarte hue ajab nazar se charaghon ki samt dekha hai hawa ne zina-e-pindar se utarte hue ik-adh jam to pi hi liya tha hum ne bhi khumar-e-khana-e-duniya ki sair karte hue na jaane kya dil-e-sayyaad mein khayal aaya wo ro diya tha mere baal-o-par katarte hue ab aasman bhi kam pad rahe hain us ke liye qadam zamin par rakkha tha jis ne darte hue wahi sitara sitaron ka hukmaran thahra laraz raha tha jo pahli zaqand bharte hue wo aaina tha main tariq-'naim' tut ke bhi hazar aks banata gaya bikharte hue