main agar aaine banata hun jauhar-e-khak se banata hun tum kisi ek se chale aana main kai raste banata hun baat kya hai khule bas itna hi main kahan masale banata hun kis ki duri ka khauf hai mujh ko khwab mein daere banata hun main ki apni isi khamoshi se baat ke silsile banata hun zakhm deti hai tirgi aur main raushni zakhm se banata hun main jo khud ko bana nahin paya ab tere waste banata hun