muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua

muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
mujh ko ek sada waraq ke dukh ka andaza hua

yun to ek chubhta hua ehsas thi us ki nazar
chot hi ubhri na koi zakhm hi taza hua

modna chaha tha main ne sar-phire lamhon ka rukh
der mein ujdi hui shakhon ko andaza hua

apni palkon par liye phirta raha nindon ka bojh
chand khwabon ka ada mujh se na khamyaza hua

nichi diwaron ke sae bhi bade hote nahin
aaj apne doston se mil ke andaza hua

khud se sharminda nazar aaenge sare aaine
phir kabhi yakja agar chehron ka shiraaza hua

jab hawaen di gai 'alam' mere ikhlas ko
ek chehra tha jo apne aap be-ghaza hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close