main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par lafz ban ban ke dhale dil ka ye khun kaghaz par kya khabar kaun se harfon ko milate honge kabhi likkha hi nahin hum ne sukun kaghaz par tai-shuda hai ki tamam-umr badan uth na sake main kabhi likh dun agar sar ko nigun kaghaz par tut ke phir to adu ke kahin kaam aate hain jab bhi chalta hai mohabbat ka fusun kaghaz par us ne jab bagh-e-nihan ko nihan rakkha gulzar hum ne bhi sabz rakha dasht-e-darun kaghaz par mujh se barham hai falak itni si khwahish pe meri tod kar ek sitare ko rakhun kaghaz par ab yahi kaam hai taswir-numai teri aur phir pahron tujhe takta rahun kaghaz par ju-e-khun aankhon talak aane lagi thi so mujhe kat kar rakhna pada zakhm-e-darun kaghaz par kuchh haqiqat ke bhi lafzon ko jagah do 'nayab' likhte rahte ho bhala karb hi kyun kaghaz par