main agar rone lagun rutba-e-wala badh jae pani dene se nihaal-e-qad-e-baala badh jae josh-e-wahshat yahi kahta hai nihayat kam hai do jahan se bhi agar wusat-e-sahra badh jae qumriyan dekh ke gulzar mein dhoka khaen tauq minnat ka jo ai sarw-e-tamanna badh jae hath par hath agar mar ke daudun baham rah-e-ulfat mein qadam qais se mera badh jae dagh par dagh se ai 'barq' mujhe rahat hai dard kam ho to shab-e-hijr mein iza badh jae