tamir-e-kaenat ke saman liye hue aai hun raaz-e-alam-e-imkan liye hue jaun kidhar main kashti-e-arman liye hue har sahil-e-murad hai tufan liye hue jalwa nazar fareb hai duniya hai dil fareb har aaina hai dida-e-hairan liye hue khud-bin tu mere shewa-e-taslim par na ja baithi hun raaz-e-alam-e-imkan liye hue har qatra hai talatum-e-dariya ki yaadgar har zarra hai numud-e-bayaban liye hue shan-e-junun to dekhiye apne saron pe aaj phirte hain mujh ko khar-e-bayaban liye hue allah re dua-e-lab-e-zakhm ka asar wo khud hi aa rahe hain namak-dan liye hue pur-dagh mera dil raha bazm-e-nashat mein aaya hazar sham-e-farozan liye hue o be-niyaz dekh teri bazm-e-naz se jati hun ishq-e-be-sar-o-saman liye hue 'kulsum' kal wo guzre hain mere qarib se aankhon mein ek shararat-e-pinhan liye hue