main jise dasht samajhta raha ghar nikla hai kya ajab meri duaon se asar nikla hai dil ki tariki se ek nala khuda ki jaanib jaanta hai nahin pahunchega magar nikla hai ek parinda kai din se nahin lauta to use dhundhne bagh se ek budha shajar nikla hai us ko malum nahin aasman walon ke fareb fal mein us ke ghalat samt safar nikla hai dusri bar liye jata hai dil jaanib-e-ishq yar mushkil se abhi pahle ka dar nikla hai yun uthai hai nazar yar ne meri jaanib mano kashti ke taaqub mein bhanwar nikla hai