main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun ye soch lo ki main rasta badal bhi sakta hun tumhaare baad ye jaana ki main jo patthar tha tumhaare baad kisi dam pighal bhi sakta hun qalam hai hath mein kirdar bhi mere bas mein agar main chahun kahani badal bhi sakta hun meri sirisht mein waise to khushk dariya hai agar pukar le sahra ubal bhi sakta hun use kaho ki gurezan na yun rahe mujh se main ehtiyat ki barish mein jal bhi sakta hun