us garmi-e-bazar se badh kar nahin kuchh bhi sach jaaniye dukkan ke andar nahin kuchh bhi hum johd-e-musalsal se jahan tut ke gir jaen wo lamha haqiqat hai muqaddar nahin kuchh bhi majbur tajassus ne kiya hai hamein warna is qaid ki diwar ke bahar nahin kuchh bhi ye meri tamanna hai ki jumbish mein hain parde ek khwahish-e-paiham hai pas-e-dar nahin kuchh bhi afkar ki aqlim wirasat hai hamari aur is ke siwa hum ko mayassar nahin kuchh bhi darwesh bhi hote hue hum aise ghani hain darai-e-duniya-e-sikandar nahin kuchh bhi jis takht-e-ghina par mutamakkin hun main 'partaw' us daulat-e-behad ke barabar nahin kuchh bhi