main apne khwab se bichhda nazar nahin aata to is sadi mein akela nazar nahin aata ajab dabao hai un bahari hawaon ka gharon ka bojh bhi uthta nazar nahin aata main teri rah se hatne ko hat gaya lekin mujhe to koi bhi rasta nazar nahin aata main ek sada pe hamesha ko ghar to chhod aaya magar pukarne wala nazar nahin aata dhuan bhara hai yahan to sabhi ki aankhon mein kisi ko ghar mera jalta nazar nahin aata ghazal-sarai ka dawa to sab kare hain 'wasim' magar wo 'mir' sa lahja nazar nahin aata