mat jhuko pur-waqar sar hai to gham utha lo agar jigar hai to ishq ki rah pur-khatar hai to mat karo ishq dil mein dar hai to ye alag baat hai na puchho tum mere ahwal ki khabar hai to zer-e-lab ab wo muskuraate hain meri aahon ka kuchh asar hai to mujh se kyon mera haal puchho ho dekh lo ghaur se nazar hai to daulat-e-ilm to hamari hai kya hua un ke pas zar hai to tum bhi patthar kisi pe mat phenko shishe jaisa tumhaara ghar hai to pyar se pesh aao dushman se zer ho jaega zabar hai to lafz-e-shar to bashar mein shamil hai kyon ho hairan bashar mein shar hai to thes lagte hi shisha tut gaya dastan dil ki mukhtasar hai to fikr manzil ki kyon karen 'bebak' rahbar apna mo'atabar hai to