teri gali mein jo dhuni ramae baithe hain ajal-rsida hain marne ko aae baithe hain karo hamari bhi khatir nikal ke parde se ki mehman hain tumhaare bulae baithe hain hamari baghlon mein bu-e-murad aati hai tumhaare pahlu mein hum jab se aae baithe hain diya jo itr unhin aashiqon ko mitti ka kaha ki hum na malenge nahae baithe hain utha ke bazm se khalwat mein tum ko le jate ye sochte hain ki apne parae baithe hain wo shab ko bazm mein hans hans ke puchhte the hamein ye kaun hain ki jo aansu bahae baithe hain azal se hai ye do-alam mein raushni jis ki usi charagh se hum lau lagae baithe hain bahaar o nikhat-e-gul hoti hain nisar un par chaman mein rang wo apna jamae baithe hain yahan bhi chain se sone na paenge afsos mazar mein bhi nakirain aae baithe hain uthaoge hamein ab kya tum apni mahfil se hum aarzu-o-hawas ke bithae baithe hain bahaar mein nai sujhi hai un ko gustakhi urus-e-bagh ka ghungat uthae baithe hain farefta teri is tirchhi tirchhi chitwan ke chhuri kalejon mein apne lagae baithe hain hamare dafn-o-kafan ki bas ab karo tadbir khabar bhi hai tumhein hum zahr khae baithe hain ye kuchh na samjhenge saudaiyon pe rahm karo hawas-o-hosh junun mein udae baithe hain farishte dekhiye karte hain hum se kya pursish mare pade the lahad mein jilae baithe hain faqir kyun ye hue hain 'sharaf' se puchho to bhabhut mal ke jo dhuni ramae baithe hain