main badalte hue haalat pe aksar roya dekh kar shahr ka badla hua manzar roya chup hua ro ke jo phir roya mukarrar roya ro ke jab ji na bhara mera to ji bhar roya jaise-taise mujhe rona kabhi aaya hi nahin jab bhi roya main bahut soch samajh kar roya munhasir tha mera rona bhi meri marzi par chand lamhe kabhi roya kabhi din bhar roya mujh ko rone ka hunar aa gaya rote rote rone walon se ba-har-taur main behtar roya mere rone ka bhi andaz ajab tha 'sabir' rote rote jo hansi aai to hans kar roya