mujhe be-khanma kar ke pasheman wo na yun hota agar meri tabahi se use hasil sukun hota mujhe aasudgi bakhshi thi meri khasta-haali ne mere honton pe kyon kar shikwa-e-haal-e-zubun hota dar-e-munim pe jhuk kar sarfaraazi hoti jo hasil main aisi sarfaraazi ke liye kyon sar-nigun hota khirad ke samne hoti na ruswai kabhi us ki agar josh-e-junun waqif ba-adab-e-junun hota wahi ho ke raha aakhir jo hona tha mere haq mein ab is par ranj kya karna ki yun hota na yun hota agar main sahir-e-fan hota apne ahd ka sabir asar-andaz logon par mere fan ka fusun hota