mizaj-e-shahr ki khushki se ajnabi main tha parampara ki kahani mein bidati main tha ghariq-e-fisq ke chehre ko yaad phir se kar masarraton bhare honton pe kapkapi main tha tera ye zoam ki tu khud hi aa gaya hai yahan ai na-samajh teri aankhon ki raushni main tha ghazal ghazal pe tawajjoh sametne wale tera kinaya-o-tashbih-o-shaeri main tha jise tu shan se sar par uthae phirta hai usi zarafat-e-dil ka dhara kabhi main tha tere wajud se thi rangat-o-bahaar-o-saba tere chaman ke gulabon ki tazgi main tha mujhe nikal ke us ne bhala kiya 'mansur' bahisht-zar ka bas ek jahannami main tha