main be-aman sahi phir bhi ye guman to hai zamin hai panw tale sar pe aasman to hai har ek lamha kisi tir ka hai dar lekin main mutmain hun ki mere paron mein jaan to hai main is tarah dar-o-diwar se hun begana ki ghar nahin na sahi ghar ka ek nishan to hai main apni kashti-e-ummid se nahin mayus phata purana sahi phir bhi baadban to hai main apni zat se bahar nikal ke sochta hun nahin hai rabt magar mera khandan to hai charagh-e-jaan ka muqaddar ho jo bhi ai 'masum' hawa ke samne masruf-e-imtihan to hai