markaz mein bah ke zat ka mehwar na aa gire raste mein meri samt samundar na aa gire phulon ke gird udti hain shishe ki titliyan gulshan mein koi khair se patthar na aa gire qismat ka nauha main ne padha aasman par diwar-e-gham kahin mere sar par na aa gire uncha na ud hawaen bahut tez ho gain mitti pe tut kar tera shahpar na aa gire raqsan hai bagh-e-did mein wo nargisi badan daman mein koi gul use chhu kar na aa gire ghazlen jhulas na jaen tawarud ki dhup mein dar hai koi khayal mukarrar na aa gire sab khauf odh soe anaon ke khol mein uryan saron pe shauq ka chhappar na aa gire 'waqif' khuda ke hukm ki tamil ke baghair kyon khuld se zamin pe payambar na aa gire