main bhi duniya mein hun ek nala-pareshan yak ja dil ke sau tukde mere par sabhi nalan yak ja pand-goyon ne bahut sine ki tadbiren lin aah sabit bhi na nikla ye gareban yak ja tera kucha hai sitamgar wo kafir jagah ki jahan mare gae kitne musalman yak ja sar se bandha hai kafan ishq mein tere yani jama hum ne bhi kiya hai sar-o-saman yak ja kyunke padte hain tere panw nasim-e-sahari us ke kuche mein hai sad ganj-e-shahidan yak ja tu bhi rone ko mila dil hai hamara bhi bhara hoje ai abr bayaban mein giryan yak ja baith kar 'mir' jahan khub na roya howe aisi kuche mein nahin hai tere jaanan yak ja