sote hain hum zamin par kya khak zindagi hai mati mein san rahe hain napak zindagi hai ghair-az-libas-e-zahir surat na pakde mani taswir ke waraq par poshak zindagi hai sar kat kar na mera fitrak se lagawe samjhe agar wo us ki fitrak zindagi hai kyun-kar kare na har-dam qat-e-manazil-e-umr tegh-e-zaban se apni chaalak zindagi hai jite hain dekh kar hum zulf-e-siyah ko us ki afyuniyon ki jaise tiryak zindagi hai de wasl ka tu wada jhuta unhon ko ja kar is baat se jinhon ki imlak zindagi hai mani niyaz ke ek niklen hain bas-ki is mein al-hamd mein hamari iyyak zindagi hai gar nak ho na munh par kya lutf zindagi ka insan ke badan mein ye nak zindagi hai do din mein aa rahe hai khat ka jawab wan se ai 'mushafi' hamari ye dak zindagi hai