zara ishaara hua aasman ke andar se dua pahunch bhi gai khak-dan ke andar se kahani phail rahi hai usi ke chaaron taraf nikalna tha jise dastan ke andar se mujhe padaw mein khatra safar se badh kar hai ki rahzan hai mere karwan ke andar se tu mujh mein aa ke makin ho gaya to har aaseb nikal gaya hai mere jism-o-jaan ke andar se main sirf dekhne aaya hun raunaq-e-bazar gharaz nahin hai kisi bhi dukan ke andar se nae sire se banana pada hai ab khud ko talash kar ke mujhe raegan ke andar se tere khilaf gawahi jo ban gae hain wo lafz liye gae hain tere hi bayan ke andar se main darmiyan hun alaw ke aur meri aawaz to sun raha hai usi darmiyan ke andar se laga raha tu kisi din kashid kar lunga nai zaban purani zaban ke andar se abhi to ye dar-o-diwar jaante hain mujhe abhi to main nahin nikla makan ke andar se 'zahir' par utarne ka faisla jo kiya kinara mil gaya aab-e-rawan ke andar se