tumhaari yaad ke manzar purane gher lete hain na jaane dhundh kar kaise kahan se gher lete hain jo hum ne un dinon bas yun hi pokhar mein uchhaale the lagun jab dubne to wo hi tinke gher lete hain main aisi shohraton ki soch se bhi khauf khata hun jidhar niklo udhar akhbar wale gher lete hain khuda jaane khuda ne kyun mujhe itna nawaza hai main jab bhi ladkhadata hun sahaare gher lete hain ye taqat aur ye shohrat samay ka pher hai pyare gali apni ho to hathi ko kutte gher lete hain ye mere dost bhi kam-bakht rone tak nahin dete zara sa aankh kya bhigi kamine gher lete hain