wo mere dil ke talabgar nazar aate hain shadmani ke ab aasar nazar aate hain jo mere nam se bezar nazar aate the ab wahi dil ke talabgar nazar aate hain ab mohabbat ke parastar kahan ai saqi sab mohabbat ke kharidar nazar aate hain ab ke gulshan mein ajab rang se aai hai bahaar shakh-e-gul par bhi hamein khar nazar aate hain hae ummid ka paband-e-karam ho jaana aaj hum zist se bezar nazar aate hain hashr mein kis se karun kis ki shikayat ai dil sab usi but ke taraf-dar nazar aate hain khud manane ko jinhen rahmat-e-haq aai hai unche darje ke gunahgar nazar aate hain ye hai mai-khana to phir aaj se meri tauba sab yahan zahid-o-din-dar nazar aate hain us ki begana-rawi ka ye fusun to dekho aaj ahbab bhi aghyar nazar aate hain phir wo mail-ba-karam hone lage hain 'sahir' phir gham-o-ranj ke aasar nazar aate hain