mausam ke mutabiq koi saman bhi nahin hai aur rut ke badal jaane ka imkan bhi nahin hai dhundo to khushi ka koi pal hath na aae dekho to yahan koi pareshan bhi nahin hai rishte mein wo pahli si tadap ab nahin milti han yun to ba-zahir wo gurezan bhi nahin hai bas chhat ke shagafon ko pade ghurte rahiye yara bhi nahin mahfil-e-yaran bhi nahin hai phir kyun na use hamdam o ham-zad bana len jab yun hai ki is dard ka darman bhi nahin hai wo waqt bhi tha hum ko zamane ki khabar thi ab yun hai ki ehsas-e-rag-e-jaan bhi nahin hai ab qatl ki khabron ka wo aalam hai ki 'arshad' sun kar koi hairan o pareshan bhi nahin hai