main dhundhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah wo kho gaya hai khala mein meri sada ki tarah na puchh mujh se mera qissa-e-zawal-e-junun main paniyon pe barasta raha ghata ki tarah tamam umr raha hun main jism mein mahsur tamam umr kati hai meri saza ki tarah utar de koi mujh par se ye badan ki rida ki mar dale mujhe bhi mere khuda ki tarah nikharta jae yunhi rang-e-sham ai 'pashi' bikharta jaun yun hi main gul-e-nawa ki tarah