rukun to rukta hai chalne pe sath chalta hai magar giraft mein aata nahin ki saya hai jhulas rahe hain badan dhup ki tamazat se ki raat bhar bade zoron ka abr barsa hai abhi to kal ki thakan jism se nahin nikli sitam ki aaj ka din bhi pahad jaisa hai samajh rahe the jise ek mehrban baadal wo aag ban ke hari ketiyon pe barsa hai wo ek shakhs jise aaj tak nahin dekha khayal-o-fikr pe us shakhs ka ijara hai dabiz pardon ke pichhe na jhankiye ki wahan gae dinon ko nishani bana ke rakkha hai 'shafiq' dhundne nikle the ghar se hum jis ko wo kirchiyon ki tarah raston mein bikhra hai