zamin apne hi mehwar se hat rahi hogi wo din bhi dur nahin zist chhat rahi hogi badha raha hai ye ehsas meri dhadkan ko ghadi mein sui ki raftar ghat rahi hogi main jaan lunga ki ab sans ghutne wala hai hare darakht se jab shakh kat rahi hogi nae safar pe rawana kiya gaya hai tumhein tumhaare panw se dharti lipat rahi hogi ghalat kaha tha kisi ne ye ganw walon se chalo ki shahr mein khairaat bat rahi hogi falak ki samt uchhaali thi jal-pari main ne sitare hath mein le kar palat rahi hogi badan mein phail rahi hai ye kaenat 'azar' hamari aankh ki putli simat rahi hogi